Insani mizaj se beemarion ki tashkhees
Qnoon Murad aza mai sab se zeyada tashkhees ka inhisaar mijaz par hai. Ye eslye k har insan ka apna apna mizaj hai. Choonkeh khoon 3 akhlaat ka murakkab hai esme jis khalt ki zeyadti ho gi osi k asrat osme nomayan hongy. akhlat 3 hain eslye mizaj bhi 3 e hain.Balghami Mizaj
Amooman safaid rang waly loag balghami mizaj k hoty hain. jisam k tamam aza dheely, narm awr sard hoty hain. Thook kasrat se ata hai. Pyas kam lagti hai. Neend zeyada ati hai awr pani waly khwab zeyada aty hain. Jisam charbi wala awr farba hota hai. Jisam sost awr kahili wala hota hai. sar k baal jaldi safaid ho jaty hain. Jisam darpok awr khoaf zeyada mehsoos hota hai. Mardo ko jinsi hejaan nahi rehta. Awrton ko aksar haiz nahi ata. Awrton ko lecheoria ki shikayat rehti hai.
Mardon ko aksar jaryan ki shikayat rehti hai. Naak se safaid pani ata rehta hai. Pani jese ashal aty hain. Sardi zeyada lagti hai. Aksar low blood pressure ki shikayat rehti hai. Moo khula rehta hai. Guftgoo bary aram se dheeli dheeli karty hain. Ghussa jaldi nahi ata. Bhook kam lagna awr khari dikaryn zeyada ati hain. Balghami khansi ya dama ka ho jana. Dibetis ka hona. Salsalul bol ka arza hona. Bistar mai peshab ki shikayat. Awrton ko doodh zeyada ana. Fuzlaat ka ikhraj zeyada hona awr onki rangat safaid hona. Jisam par neely dhabby hona. Moo se raal behna. Subh othny ko dil na karna.
Sawdawi Mizaj
Ammoman gandomi rangat waly hoty hain. Chehry par siyahian awr keel mahasy awr chaayeyan hoti hain. Ankhon k neechy siyah halqy hoty hain. skin par red dhabby dikhai dety hain. Skin par kharish , khushk awr jaldi na pakny waly daany, phory phonsian hoti hain. Sara jisam dobla awr aksar pait bahir ki tarf nikla hota hai. Sar par baal kasrat se hoty hain lekin phir ahista ahista darmyan se ganj ho jana. Aksar soch bichaar krty rehna, neend ki kami, awr draony khwab ana.
Qabz rehna, washroom mai zeyada time lgana awr aksar safai ka wehm rehna. Intishar ki zeyadti awr mani ka kam hona. Trush dikaryn ana. Maidy mai jaln. Skin par mohky, massy awr til k nishan hona. Ihtilaam ka zeyada hona. Cholestrol ki shikayat. saans phoolna. Uric acid ki shikayat awr joron ka dard rehna. hath pawoo mai halki si larzish.
Safrawi Mizaj
Amooman pheeky awr zard chehry waly safrawi mizaj k hoty hain. Moo ka zaiqa charpra ya namkeen hona. Pyas zeyada lagna. Jisam mai choban, ghabrahat, awr chingaarian mehsoos hona. Riqqat awr sorat ki shikayat hona. Bat cheet saf awr tez tez karna. Ghussa jaldi ana. Awrton ko haiz taklif se ana. Awrton ko lecheoria hona jaln k sath. Khafqan qalb ki shikayat. Tabiat ka bojhal rehna. Skin par chapaki hona. paichish ki shikayat hona. Typhoide. Hath pawoo awr peshab mai jaln hona. Neend ki bechaini, ghonoodgi awr khwab mai aag dekhna. High blood pressure.
Pathon ki kamzori.
Insani mizaj se beemarion ki tashkhees
Reviewed by Swabi Version
on
April 15, 2018
Rating:
No comments: