Jismani alamat se beemari ka pata chalana
Agar mareez bethy bethy dikaar mar rha ho tu ose Tabkheer maida ka masla hai.
Agar mareez ne maida par hath rkha howa ho tu ose Sozish maida ki shikayat hai.
Agar mareez othty bethty sahara ly tu osk ghotny mai dard ya shadeed kamzori ya khoon ki shadeed kami hai.
Bat karty howe bhool jana kasrat e soda ki alamat hai, ya guzishta ki howi bat zehin mai na ana balgham ki zeyadati ki alamat hai.
Bat karty howe jazbati hona high blood pressure ya Ghuddi Tehreek ki alamat hai.
Bat thaky howe andaz mai karna low blood pressure ya khoon ki kami awr admi k khofzada hony ki alamat hai.
Saans phoolna azm e qalb, tehreek e qalb, khafqan e qalb , istesqa sadr ya kasrat e mubashrat ki daleel hai.
Skin par blue dhabby khoon mai platelets fana hony ki alamat hai.
Skin par red dhabby Ozlati cancer ki nishandahi karty hain.
Motapa balgham awr ratoobat k kasrat ki daleel hai.
Dobla pan kasrat e soda ki alamat hai.
Sar k baal kam ho jana taskeen e jigar ki alamat hai.
Rat ko dono hath sar k neechy rakh kar sone waly aksar Ozlaati hoty hain.
Mareez jis tarf karwat badal kar na so saky tu os tarf k azaa mobtalay marz ho sakty hain.maslan right side p na so saky tu liver enlargment awr agar left side p na so saky tu Heart enlargment ki alamat hai.
Skin par baalon ki kasrat harmoons k balance hony ki alamat hai.
Rat ko olta sony waly aksar asaabi hoty hain.
Amraz e qalb o shash mai mareez ka seedha letna mushkil hota hai.
Neend agar zeyada aye tu ye balgham ki kasrat awr agr boht kam aye tu soda ki kasrat, awr agr bechaini k sath aye tu kasrat e safraa ki alamat hai.
Khoaf awr bozdili sardi ki alamat, gham ghussa nidamat musarrat hararat ki alamat, awr sharm o haya hararat awr ratoobat ki alamat hai.
Moo ka khula rehna asabi tehreek awr tashanji kefiyyat se band hona ozlati tehreek awr moo k andar peely daany chaaly, peepdar nikalty hoon tu ye Ghuddi tehreek ki alamat hai, awr moo se raal behna asabi tehreek ya deedan e amaa ki alamat hai.
Jismani alamat se beemari ka pata chalana
Reviewed by Swabi Version
on
April 13, 2018
Rating:
Nice info
ReplyDelete