Nabz Shanasi
Nabz se tashkhees
Nabz sharyano ki os harkat ka name hai jo dil ke inqibaz awr inbisaat ke sath onme khoon phainkne se paida hoti hai. Youn tu ye harkat jisam ki jomla sharain mai paida hoti hai magar yahan par makhsoos sharain hain jo baz maqamat par zeyada waazih awr namayan tar hoti hain. Awr jin ko onglion se mehsoos kia ja sakta hai. Jese kalai ki sharyaan , kanpatti ki sharyaan ya takhny ki sharyan. Enme kalai ki sharyan namayaan tareen hai jis se aksar alamaat e jisam ka pata chalta hai awr androoni haalat e badan se waaqefiyyat haasil ho jati hai.
Nabz ki ilmi tashreeh
Nabz aik aesi harkat hai jo sharain mai paida hoti hai awr sharain ka talluq choonkeh dil se hai eslye jis qisam ke halaat o waqiaat dil mai paida hoty hain. Osi qisam ki halaat ka izhar sharain mai bhi hota hai. Banawat ke lihaz se dil jis mufrad ozoo ka bna howa hai, sharain bhi taqreeban onhi mufrad aza ki bani howi hain. Nabz ki tashreeh ko poori tarah se samjhny ke lye pehly DIL awr nabz ki banawat awr onke afaal awr wazaif ko bhi zehin nasheen kar lena zaroori hai.
Dil ki harkaat (Heart beats)
Omar ke mukhtalif hisson mai eski harkaat bhi mukhtalif hoti hain. Esi tarh halat e marz mai o sehat mai bhi eski raftar kam o zeyada hoti rehti hai. Aik sehat mand insan mai eski harkaat kuch youn hoti hain;-
Halat e junain mai ;- 150 per minute
Paidaish ke waqt ;- 130 to 140 per minute
Pehly 1 saal tak ;- 110 to 120 per minute
2sry saal tak ;- 95 to 110 per minute
3sry saal tak ;- 90 to 95 per minute
7wen saal tak ;- 85 per minute
Jawani mai ;- 70 to 84 per minute
Boraphy mai ;- 60 to 70 per minute
Esi tarah mukhtalif mizajo mai bhi eski harkaat vkam o zeyada hoti hain maslan
Balghmai mizaj mai normal tedad se kam hoti hai.
Sawdawi mizaj mai kam o zeyada dono ho jati hain.
Safrawi mizaj mai normal se tez ho jati hain.
Awr sehat mand aadmi ke mukhtalif halaat mai bhi eski tedad mukhtalif ho jati hai maslan
Exercise ke waqt tez ho jati hai.
Halat e neend mai kam ho jati hai.
Ghussa mai tez ho jati hai awr khoaf mai kam ho jati hai.
awr khary hony ki halat mai tez ho jati hai awr beth ya let jane se kam ho jati hai.
Nabz Shanasi
Reviewed by Swabi Version
on
March 30, 2018
Rating:

No comments: