Zaban se beemari ka pata chalana
Zaban par safaid teh ka hona kamzor haazma ki daleel hai, awr ye asabi tehreek hai.
Zaban par safaid daany asabi tehreek ki alamat hai.
Zaban par sorkh daany Ozlaati tehreek ki alamat hai.
Zaban par peely daany Ghuddi tehreek ki alamat hai.
Zaban ka cancer Ozlaati tehreek mai hota hai.
Zaban par kala nishan sozish maida o amaa ya jigar ki taskeen ki alamat hai.
Zaban par cut par jana Ozlati tehreek ki alamat hai,
Zaban par bhoori zard teh ka jamna Typhoide ki alamat hai.
Guftugoo k waqt zaban ka atakna Luknat ki alamat hai.
Moo kholty e bad smell ka ana masoorho ki kharabi ya sugar ki alamat hai.
Zaban ka latak jana istarkha e lisaan hai.
Zaban motawarm hona Ozlaat k motawarm hony ki daleel hai.
Dant maily kochely Ozlati tehreek ki alamat hai.
Dant hilty hoon tu asabi tehreek hai.
Dant calcium ki kami se tootty hoon tu Ghuddi tehreek hai.
Masoorho ki siyahi, ya onse khoon ana ya peep ana Piyoria , Dibetes , Hepatitus, ya sozish maida o amaa ki alamat hai.
Aam sehatmand admi guftugoo karty howe atakta ho tu osk ozlat ul lissan mai tashanaj hai ya phir wo ramal fil kulya ka mareez hai.
Raat soty waqt dant peesna Riyah ul afrasa , deedan amaa awr amraz e kulya ki alamat hai, awr ye amooman Ozlati tehreek mai hota hai.
Rat soty waqt agar kharaty halki awaz se hoo tu gihri neend ki alamat hai awr agar zordar hoon tu tabkheer e maida awr gas trouble ki alamat hai.
Zaban se beemari ka pata chalana
Reviewed by Swabi Version
on
April 13, 2018
Rating:
Reviewed by Swabi Version
on
April 13, 2018
Rating:

Nice
ReplyDelete